Monday, December 22, 2008


jane na kyu meri zindagi khafa khafa si hai....
jane na kyu meri haar saans, ek saza si hai ....

kuch to tha, un khwabon me...
aur koi to tha meri in nigahon me....

kuch aansu hai, kuch madham saanse...
kissnay chali ye chal, aur kisnay feke thay paanse....

din kho gaya hai, aah bhi nahi nikalti....
ruk gaya hai manzar, raah kahi bhi nahi nikalti....

teri mere har mulaquat me, kuch keh na payee...
hum tujhsay khafa hokar hi rehna payee....

kuch chubati hui yaadein, fir se rang layee....
megha se oos barsi bhi nahi. fir bhi uski yaad ayee....

mere ek sawal ka jawab to dena tha...
kuch kehne se pehle, thoda sooch to lena tha....

ab khamoshi hai aur kuch uljhi zindagi se shikayat...
kabhi lagay agar to kar dena thodi inaayat...

ab main chalta hu apnay katon ki raah par...
main tujhay khush kar na pyaya tujhay chah kar....

No comments:

Powered By Blogger

Saurabh Kapale